Flag

Well Come

Marquee

Web Maker: Zulfiqar Ali Sandhila < > EMail. <>Zulfiqaralii@yahoo.com <>Mobile# <> 0322 6281852 <> Please Sign in and Join

Sad Poetry

Jitna Shaffaf hay tera aanchal

Koi mousam bhi hum ko raas nahin
woh nahin hay tou kuch bhi paas nahin
aik muddat say dil k paas hay woh
aik muddat say dil udas nahin
jub say daikha hay shaam aankhon mein
tub say meray qayaim hawas nahin
meray lehjay mein us ki khushbo hay
us ki baaton mein meri baas nahin
Jitna Shaffaf hay tera aanchal
Utna ujla mera libaas nahin
samnay meray aik darya hay
hont sokhay hain phir bhi pyas nahin
jis ko chaha hay dil-o-jan say saqi
janay woh kion nazar shinaas nahin

Mujhey koi kari si saza tou na do gay

Agar mein bata don mein kia chahti hon
nazron say apni gira tou na doo gay
Jo mein chahti hon, woh tub bhi na chaho
Mujhey koi kari si saza tou na do gay
Mein mohabbaton mein jabar ki qayal nahin hon
Dil laga ker mujh ko bhula to na doo gay
Jo mein bata don meray mun main kia hay
Tum jahan mein tamasha bana to na do gay
Darti hon tum say mein raaz-e-dil sunatay
Tum hansi main baat ura to na do gay
Agar mein bata don mein kia chahti hon
Wafaon k badlay jafa to na do gay
Aur mujh hi say daman chura to na lo gay

Hay afsos os ny mujhy 1 bar bolaya hota.

Kash banane wale ne mjhe kitab bnaya hota.
Woh parhty parhty so jati mujhy seenay say lagaya hota,
Main ous k gum main rota or rota he jata.
Os nay chupky say mujhy senay say lgaya hota.
Os ko dastaan suna suna k thak sa giya.
Kash uss nay b mujhy hal-a-dil sunya hota.
Main oss ka naam leta or subho sham leta tha.
Hay afsos os ny mujhy 1 bar bolaya hota.
Main oss ki khatr trpta rha sham o sehar ~Mohsin~
Arman na hota gar os ny 1 anso he bhaya hota.

Ik tum hi nahi meri judai mein pareshan,

Hum nazuk nazuk dil waley
Kabhi hastey hain kabhi rotey hain
Kabhi dil mein khwab parotey hain,
Kabhi mehfil mehfil phirtey hain,
Kabhi zaat mein gum ho jatey hain,
Kabhi chup ki mohar sajatey hain,
Kabhi geet labon par atey hain,
Kabhi sab ka dil behlatey hain,
Kabhi khud tanha ho jate hain,
Kabhi shab bhar jagtey rehtey hain,
Kabhi lambi taan k sotey hain,
Hum nazuk nazuk dil waley Bas,
apney aap mein rehtey hain…
Jin rahon pe ik umer tere sath raha hun,
Kuch roz se wo raste sunsan bohat hain..
Mil jao kabhi laut k phir aon na shayed,
Kamzor hun mein rah mein tufan bohat hain..
Ik tum hi nahi meri judai mein pareshan,
Hum bhi tu teri chah mein veeran bohat hain..
Ik tark-e-wafa pe mein usay kaise bhula dun,
Mujh per abhi os shakhs k ehsan bohat hain..
Bhar aaien na aankhein tu mein ik bat bataon,
Ab tujh se bicher jane k imkan bohat hain.. ..

Barri Dil Nasheen Hai Yeh Adat Tumhari

Miley Har Qadam PAy Rafaqat Tmhari
Kahan Hum Kahan Yeh Inayat TUmhari
Humein Chahiye Bas Taluq Tumhara
Muhabbat Miley Ya Adawat Tumhari
Kisi Se Bhi Milna, Usay Jeet Lena
Barri Dil Nasheen Hai Yeh Adat Tumhari
NA Dekha Jahan Mein Aur Koi Tumsa
Barri Munfarid Hai Tabiyat Tumhari
Humein Zindagi K Kathan Raston Mein
Hemesha Rahay Gi Zarurat Tumhari…!!!

lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main

Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin
duniya samajh rahi hai mohabbat usse nahin.
lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main
kafi dinon se mujh se shikayet usse nahin.
dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahin.
her cheez ikhtiar main rakhta hai woh magar
dil se rehai pane pe qudrat usse nahin.

Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin

Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin
zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin
Mein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron
Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin
Aey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab
Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahin
Woh tou mit ker mujhey mil hi gayai rahat werna
Zindagi ranj-o-musibat k siva kuch bhi nahin

Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf

Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu
Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu
Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar
Har pal har jagah nazar aane laga hai tu
Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle
Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu
Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas”
Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu
Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main
Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu
Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan
Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu
Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe
Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu
Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera
Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu
Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai
Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu
Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu
Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko
Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu
Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri
Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu
Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri
Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu
Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf
Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu
Kya is baat ka tujhey “Ehsaas” hai “Jaan”
Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu

Jo bas jata hai dharkan main ussey bhula nahin karte

Safar tanha nahin karte
Suno aesa nahin karte
Chalo tum raz ho apna
Tumhain afsha nahin karte
Suno jis ka muqaddar ho ossey chora nahi karte
Jisay shafaf rakhhna ho ussey maila nahin karte
Jo bas jata hai dharkan main ussey bhula nahin karte
Kisi ko dil dete waqt boht socha nahin kartey
Jo pehlay sey tanha ho ussey tanha nahin karte
Suno yadain sataingi magar roya nahin karte
Suno tum yad atay ho aur hum soya nahin karte

mujhay apna pyar na day saka

Jo na mil saka wo baywafa
yeh bare ajeeb si baat hai
jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak mere saath hai…
Wo roshni kay khayal main
wo na asaka raah mian muntazir
yeh khalish kahan thi visaal main
mere justojoo ko khabar nahi
na wo din rahay na wo raat rahay
jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak mere saath hai..
Kary pyar lab pay koi gila na hoo
yeh kissi kissi ka naseeb hai
yeh karam hai uski jafa nahi
wo juda bhi rehkay qareeb hai
wo aankh hai mere ru baru
ussi haath mein mera haath hai
jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak mere saath hai
mera nam tak jo na lay saka
jo mujhay qarar na day saka
jissay ikhtiyaar tau tha magar
mujhay apna pyar na day saka
wohi shakhs mere talassh hai
wohi dard mere hayaat hai
jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak meray saath ha

Koi aik adh sapna ho to phir accha b lagta hai

Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta
Mandiron se chiragon ko bujha kar kuch nahi milta
Koi aik adh sapna ho to phir accha b lagta hai
Hazaron khwab ankhon mei saja kar kuch nahi milta
Yeh accha hai ke aapas ke bharam na tootne payein
Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta
Amal ki sookhti rag mei zara sa khoon shamil kar
Mere humdam faqt batein bana kar kuch nahi milta
Mujhe aksar sitaron se yeh awaz aati hai
Kisike hijar mei neendein ganwa kar kuch nahi milta
Jiggr ho jayega chalni yeh ankhein khoon royengi
Ae dil Be’faiz logon se nibah kar kuch nahi milta

Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein…

Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai…
Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai…
Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye…
Zindagi Ab Teri Saughaat Se Dar Lagta Hai…
Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo…
Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai…
Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein…
Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai…

teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna

Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai
woh mera teri aankhon k samander main uttar jaana
aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana
teri awaaz k sehar se na nikal paana
tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana
bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
na teri yaad main reh k tere saath ka sochoon
bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
k jin se thees utth ti hai k jin se dard hota hai
magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
terey hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai
tou tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna
tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai
woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai

khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya….

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya…
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya….
lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan…
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya…
aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi…
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya…
jane kya us ko logon sey thein shikayatein…
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya…
khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya….
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya…

mere tasauwur main tum aise kho jao gee,

Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee,
mager us din bohot daer ho jai gee ,
tum milna chaho gee mager mujh ko daikh na pao gee,
tum dhoondo gee mujhe mager daikh na pao gee,
tum tarpo gee meri yaad main or aansoo bahao gee.
mujhe daikhe bina ik pal bhe na reh pao gee.
meri yaad main tum gum sum ho jao gee,
khud apni gali ka pata bhe bhool jao gee,
mere tasauwur main tum aise kho jao gee,
koi pukare ga tum meri hi bataen dohrao gee,
or main door khara teri baychaini ko daekhta rahoon ga,
or tum kuch pal ke liye mujh se khafa ho jao gee,
or main teri bikhri zulfoon ko sunwaroon ga,
or tum sharma kar mere gale se lag jao gee,
or phir jab tum rooth kar kaheen door chali jao gee,
us din me phir tum se yahee baat kahoon ga,
kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee….

Main kese soch sakta tha mujhy wo chor jayega,

Juda hone ka andesha’ juda honE se pehle tha,
Wo mujh se intehai khush’ khAfa hone se pehle tha,
Junoon ka doar guzra to mujhe b bhool betha wo,
Namaz-e-ishq tha lekin, qaza hone se pehle tha,
Main kese soch sakta tha mujhy wo chor jayega,
Bohat hi ba’wafa wo bewafa hone se pehle tha…

Aansoo bahaany ki aadat nhi h,

Sir jhukaany ki aadat nahi hay,
Aansoo bahaany ki aadat nhi h,
Hm kho gaye to pachtao gay bohat,
Hamaari Lout k Aany ki aadat nahi hay,
Terey dar pay Muhabbat k sawali ban jaaty,
Lekin Haath phelaany ki aadat nahi hay,
Teri yaaden aziz hen bohat,
Magar Waqt ganwaany ki aadat nahi hay,
Tum sakht Dil nikle kya gila kren hum,
Shikwa -e-dil lab py laany ki aadat nahi hay,
Bad’dua b kya kren HAQ men tumhaary?
Hamain to Dil b dukhaany ki aadat nahi hay…

Hum karain baat daleelon se to rud hoti hai

Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai
Hamaray lab jinhe chu le wo pathar bol utte
Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi dekha gia
Be-khabar hanste rahe aur ba-khabar rote rahe
Me khanay ki tauheen hai rindo ki hatak
Kam zarf ke haath me agar jaam diya jayai
Hum karain baat daleelon se to rud hoti hai
Is ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai
Abhi mitti na khunki thi abhi paani na barsa tha
Magar bazm-e-anasir me tere hone ka charcha tha

Roz nikla karen kisi ke yaad mein aansoo,

Us ajnabi ka youn na intezaar karo,
Is aashiq dil ka na aitbar karo,
Roz nikla karen kisi ke yaad mein aansoo,
Itna kabhi na kisi se pyaar kia karo,

AAj mausam main kuch ajib si baat ha

AAj mausam main kuch ajib si baat h
bekabu se hmare jazbaat hain
ji chahta h chura lu tumko tumhi se magar
mummy kehti hain chori krna buri baat h.

wo roye to bahut par muh-mod ke roye,
bade majbur hoge wo jo dil tod ke roye,
mere samne kar ke meri tasvir ke tukde,
pata chala k badme unhe jodke roye

Dil ki dhadkano ko ek lamha sabar nahi,
Shayed ke usko ab meri qadar nahi,
Har safar main kabhi humsafar tha wo,
Abb safar to hai magar wo HAMSAFAR nahi
Is do pal ki zindagi main tanhai kyuon hai?
Logo ko hamse ruswai kyuon hai?
Is duniya me insaan kam toh nahi…
phir mere saath sirf meri parchai kyuon hai…!! 
YE ARZU THI KAY AISA BHI KUCH HOWA HOTA,
MERI KAMMI NAY TUJHE BHI RULA DIYA HOTA,
MAIN LAUT ATA TERE PASS EK LAMHE MAIN,
TERE LABO NAY MERA NAAM TO LIYA HOTA.
Apni hasti mita k b tanha hoon,
Main sab kuch luta k b tanha hoon,
Log door talak jatay hain kisi k liye
Aur main us k paas reh k b tanha hoon
Jiski aarzu thi vo dilbar na mila
Barso jinka tha intjaar vo pal na mila
Ajib khel hai ye mohabbat ka
Kisi ko hum na mile aur koi hume na mila
Ehsaas use bhi hoga ek din apni jafa ka
rula dega use ek din khayal meri wafa ka
usne insaan sa sulook bhi na kiya mujhse
jis insaan ko maine darja diya khuda ka

Meri mohabbat ki itni c kahani hai,
tuti hoi kashti ruka hua pani hai,
ek gulab un ki kitab main dumm tor chuka hai,
or un ko yad hi nahi ye kis ki nishani hai
Aashiyane pe mere ab usne aana chod diya
Mujhse kiya hua har ek vaada tod diya
Jaane aisi kya khata ho gayi mujhse
Ki usne mujhe dekhkar muskurana chod diya 


Mahfil mai hasna to hamara mijaz ban gaya,
Tanhai mai rona Ek raaz ban gaya,
Dil ke dard ko chehre se zahir na hone diye,
Yahi zindagi jena ka Aandaz ban gaya
Pyar ankho sè jetaya tö büra maan gåyé,
Haal-e-Dil hum ne sunaya to bura maan gaye,
wo to har roz rulaya karte they,
Ek roz ham ne rulaya to bura maan gaya
IK TAMANA HAI FAKAT MUJ PE MEHERBAN RAHO,
TUM KISI OR KO DEKHO TO BURA LAGTA HAI,
MERI CHAHAT KA TAKAZA HAI MERE SATH RAHO,
GHAIR KA HATH JO THAMO TO BURA LAGTA HAI,
ARZU HAI TUMKO HAR PAL DEKHUN,
TUM MERE PAS SE UTHU TO BURA LAGTA HAI,
ROZ-O-SHAB AJ BHI PARWA HAI TUMHARI MUJHKO,
TUM KISI OR KO SOCHO TO BURA LAGTA HAI.

Haqiqat k roop may Khawab banta gaya,
Jaise Jaise wo chehra KITAB banta gaya,
Us ne kaha k PANI achha lagta hai,
Phir meri ANKH ka har ANSU TALAAB BANTA GAYA 
Jaan kar bhi woh Mujhe jaan na paaye,
Aaj tak woh Mujhe pehchaan na paaye,
Khud hi kar li bewafai humne,
taaki unpar koi ilzaam na aaye

NA MERI KOI MANZIL HAI NA KINARA,
TANHAI MERI MEHFIL OR YADEN MERA SAHARA,
TUM SE BICHHAR KE KUCH YUN WAQT GUZARA,
KABHI ZINDAGI KO TARSY KABHI MOUT KO PUKARA
Zikar karta hai dil subha wa sham tera
Girte hai ansoo banta hai nam tera
Humain to mili hai mohabat main be wafai
Pir bhi dua hai rab se acha ho injam tera


KOI TUM SE PUCHY KON HUN MAIN?
TUM KEHDENA: "KOI KHAS NAHEN"
IK DOST HAI KACHA PAKA SA,
IK JHOOT HAI ADHA SACHA SA,
JAZBAAT KO DHANPY IK PARDA,
BAS IK BAHANA ACHHA SA,
JEEVAN KA ASA SATHI,
JO DOOR NA HO KAR PAS NAHEEN,
KOI TUM SE POOCHHY KON HUN MAIN?
TUM KEHDENA: "KOI KHAS NAHEN"
Khuwab Aankhon Sey Ab Koi Chura Ker Ley Jaye
Qaber K Sookhey Huwey Phool Utha Ker Ley Jaye
Muntazir Phool Main Khushbu Ki Tarah Hun Kab Say
Koi Jhonkay Ki Tarah Aaye Ura Ker Ley Jaye
Yeh Bhi Pani Hey Mager Aankh Ka Aisa Pani
Jo Hatheli Sey Rachi Mehndi Chura Ker Ley Jaye
Main Muhabbat Sey Mahakta Hua Khat Hun Mujh Ko
Zindagi Apni Kitaabon Mein Chupa Ker Ley Jaye
Khaak Insaaf Hey Nabeena Butoon Key Aagey
Raat Thaali Mein Charaaghon Ko Sajaa Ker Ley Jaye
Un Say Kehna K Main Paidel Nahi Aaney Wala
Koi Baadal Mujhay Kaandhey Peh Bitha Ker Ley Jaye

HAM WO SAQI HAIN JO DEEWANA BANA DETE HAIN,
JAAM KHALI HO TO NAZAR SE PILA DETE HAIN,
ISHQ KARTE HAIN TO JAAN LUTA DETE HAIN,
QATL HO JAYN TO QATIL KO RULA DETE HAIN
Tänhäi Bhäri Zindägi Kä Säfär Milä !
Nä Köi Sääthi Nä Köi Hùmsäfär Milä !
Diyä Jältä Chhör Aäye Thäy un k Liye !
Jäb Wääpis Lotäy tö Jältä Hùwä Ghär Milä
Use apni muraad ki fikar thi Wo jo mera waqif e haal tha
Jo uski subhay urooj thi wo mera waqt e zawaal tha
Mera dard kaise wo janta , meri baat kaise wo manta
Wo to khud fana ke safer main tha, use rokna bhi muhaal tha
Kahan jao ge mujhe chor kar, main ye pooch pooch thak gaya
Wo jawab mujh ko na de saka, wo to khud sarapa sawal tha
Wo mila to sadion ke bad bhi, mere lab pe koi gila na tha
Use meri chup ne rula dia, jise guftugu meain kabhi kamal tha
apni aankhon ke samander main utar jaane de
tera mujrim hun mujhe doob ke mar jane de
ae naye dost main samjhoon ga tujhe bhi apna
pehle maazi ka koi zakhm to bhar jane de
aag dunia ki lagai hui bujh jayegi
koi aansoo mere daman pe bikhar jane de
zakhm kitne teri chahat se mile hain mujh ko
sochta hunk e kahun tujh se magar Jane De
Har raat gham e tanhai
Har shaam us ki yaad i
Laakh us ko bhulana chaha
Us se barh kar us ki yaad i
Us se koi umeed bhi wabasta nahi
Is dukh se meri aankh bhar i
Logon ne poocha ashkon ka sabab
Bus mujhe kehna para TANHAI

Wo nahi mera magar us se muhabbat hai to hai
Yeh agar rasmon rivajon se bagawat hai to hai
Such ko main ne sach kaha jab keh dia to keh dia
Agar zamane ki nazar main yeh himaakat hai to hai
Dost ban kar dushmanon se who satata hai mujhe
Phir bhi us pathar dil pe marna apni fitrat hai to hai
Kab kaha main ne ke woh mil jaye mujhko
Uska saath hamesha rahe mere saath mujhe itni hasrat hai to hai

Bichar ke mujh se mere ilawa na tera pursan e haal hoga
Tu dukh kisi se na keh sake ga tu khud main aisa nidhaal hoga
Jahan se hum ne bhi apni apni zaruraton ka hisab rakha
Wahin se teri meri muhabbat main ibtda e zawal hoga
Ye tujh ko pane ka waqia bhi to aap apni nazeer thehra
Tere bicharne ka saaneha bhi to aap apni misaal hoga
Jo behas karta tha mujh se MOHSIN key eh muhabbat hai raaigani
Kise khabar thi ke is ke lab pe muhabton ka sawal hoga
Mera afsurda chehra is liye bhi zard rehta hai
Mujhe apne elaawa bhi kisi ka dard rehta hai
Tumhare dam qadam se thi ye sab mosam ki rangeeni
Tumhare baad saara saal mosam sard rehta hai
Tumhare baad baaqi aur to sab theek hai lekin
Jahan dil tha kabhi pehle wahan ab dard rehta ha

Waqt guzre ga hum bikhar jayenge
Kon jaane ke hum kidhar jayenge
Hum aapki parchai hain yaad rakhna
Jahan tanhai mili wahan hum nazar aayenge

Juda hone ke mosam main juda hona zaroori tha
Najane kyun kisi ka bewafa hona zaroori tha
Mere dil ne jo usko poojne ki intiha kardi
To phir us bewafa ka bhi khuda hona zaroori tha
Kisi se na koi shikwa na koi shikayat hai
Jo mere saath chahat main hua hona zaroori tha
Bohat nazdeek thay dil is liye ab doorian bhi hain
Dilon ke darmian kuch fasla hona zarori tha
Usey bhi dard den eke bohat hi shok tha
Humain bhi dard o ghum se ashna hona zaroori tha

Jo heran hain tmahary zabt pe keh do 'Qateel' un se,
jo daman pr nhi girta wo anso dil pe girta hai,
Be-atibaar shakhs tha so waar ker gya,
lekin mere shaoor ko bedaar ker gya
Kuch maine ishteaal me shikwe gilay kiye
kuch wo shikayatein sar-e-bazar ker gya..
Phir kahin door se ek bar sada do mjko.
Mri tanhai ka ehsas dila do mjko.
Tum to suraj ho tumain meri zarorat kya ha.
Ma dia hon kisi chhokhat pe jala do mjko.
Zoq-E-Janoon ko Had Se Guzar Janay Do
Wo Samaitnay Aey Ga Humain Bikhar Janay Do
Abhi Dastras mein Hoon To Ehsas Nhi Usko
Ro Ro K Pukaray Ga Humain Mar Janay do 
Bri Koshish K Bad Usy Bhula Dia
Uski Yado Ko Seene Se Mita Dia
1din Phr Uska Pegam Aya
Likha Tha Mujhe Bhool jao
Or Mujy Bhula Hua Hr Lmha Yad Dila Dia...!!
Teri mushkil na banu ga chala jaun ga
Ashk ankhon main chupaun ga, chala jaun ga
Apni dehleez pe kuch der para rehne do
Jaise hi hosh main aoun ga, chala jaun ga
Muddat baad ayah un purane ghar main
Khud ko ji bhar ke rulaun ga, chala jaun ga
In galiyon ko dekhne aoun ga, chala jaun ga
Tum mere sang chalo na chalo
Main to awaz lagaun ga, chala jaun ga
Main ne yeh jang nahi jeetni apne liye
Takht pe tumko bithaun ga, chala jaun ga
main apni raaton ki fursaton main tujhe manaun to maan jana
agar kisi din main apne aansu jo le ke aaun to maan jana
yeh aik dil hi tumhain dia tha so isko tum ne hi tor dala
shikasta dil ki jo kirchion ko samain laaun to maan jana
tu khush nahi hai meri baqa pe to sirf itna bata de mujhko
teri khushi ke liye jo suli pe muskuraaun to maan jana
tu bad guman hai meri wafa pe to sirf aik bar aazma le
jo har jaaun to lot jana jo jeet jaaun to maan jana
Jala ke tu bhi agar aasra na de mujh ko
Yeh khof hai ke hawa phir bujha na de mujh ko
Main is khyal se mar mar ke dekhta hun use
Bichar ke bhi wo kahin phir sada na de mujh ko
Is khyal se shab bhar main so nahin sakta
Ke khof e khwab e guzishta jaga na de mujh ko
Tere baghair bhi teri tarah main zinda rahun
Ye hosla bhi dua kar khuda na de mujh ko
Main is liye bhi usey khud manaunga MOHSIN
Ke mujh se roothne wal bhula na de mujh ko
Yaado may kabhi aap b khoye hoge,
khuli aankho se kabhi aap b soye hoge,
maana hasna hai aadat gham chupane ki,
par haste haste kabhi aap b roye hoge.
Ehsaan kiya usney mujhe pyar sikha kar,
Hoti hai chahat kiya ye mujhe samjha kar,
Qurbani hai pyar ka asli matlab,
Chor diya us ny mujhy bas yehe sikha kr.

Ek wafa ko panay ki koshish mein mainay,
Zakhmi kardi hain wafaein kitni,
Kitna masum sa lgta hai ek lafz "MOHABBAT",
Aur is lafz se milti hain sazaein kitni.
Teri wafa ko hum ne bhulaya kb tha
dard judai ka hm ne dil se mitaya kb tha
dil laga k bhul jana teri adat thi
hum ne teray siwa kisi aur ko chaha kb tha .

Dil banana wale ne dil kanch ka banaya hota
Torne wale ke haath pe zakham to aya hota
Jub dekhte apne haath ko wo
Unhain humara khayal to aya hota

In raston ke darmian ik sath baqi hai
Kahin par sham dhalti hai kahin par rat hoti hai
Abhi to chandni hai, chand ki rat baqi hai
Chale aao kisi din tum hamare hal bhi dekho
Hamara jism murda hai magar ik sans baqi hai
Umeed hai phir milenge wo hamain ik din
Khuda par hai bharosa abhi khuda ki zaat baqi hai
Mumkin jo agar hota, Hum tiumko bhula dete
Yaadon ko kafan de ke, Bewaqat sula dete
Tanhai main jee lete, Tumko na sada dete
Is dil se tere dil tak diwar utha dete
Mumkin jo agar hota hum tumko bhula dete

Jane q shikast ka azab liye phirta hun
Main kia hun or kia khwab liye phirta hun
Us ne aik bar kia tha sawal e muhabbat
Main har lamha wafa ka jawab liye phirta hun
Us ne poocha kab se nahi soye
Main tab se jagti raton ka hisab liye phirta hun
Us ki khwahish thi ke meri aankhon main pani dekhe
Main tab se barasti aakhain liye phirta hun
Milna ittifaq tha bichrna naseeb tha,
to itna dur ho gia jitna Qareeb tha,
Basti k sary log he atish parast thy,
Jalta raha mera ghar or sumander qareeb tha

mujhe kisis k tasawar main doob jane do
bohat nahi thora sa hi jal jane do
main janti hun muhabbat nahi usey mujh se
magar main khush hun mujh ko fareib khaney do
main bhool jaun usey ye to ho hi nahi sakta
wo bhoolta hai mujhe to bhool jane do
meri wafaein kal usey bohat rulaein gi
meri wafa pe usey aaj muskurane do
huwa wo kaise juda yaad kuch nahi aat
main sochti hun, usey kuch to yaad aane do
aisey lagi udas sar e sham zindagi
jaisey kisi ki aankh ka ilzam zindagi
jis k bina ye sans mujhe doobti lagi
ja kar usy bhi dhoond kisi sham zindagi
ye pyar dard na ban sakey jis ke nashe main
pila de mujh ko aaj wohi jam zindagi
ab doston k hath meray haath main nahi
girne laga hun aaj mujhe tham zindagi

Dil-e-nadan ko smjhao muhabbat zakhm deti hai.
Tum apni zid se baz aao, muhabbat zakhm deti hai
Muhabat ka safr aaghaz karne per tumhe hum ne kaha than a
K ruk jaao muhabat zakhm deti hai
Usey shiddat se chaha hai to yeh bhi zehan main rakho
K barh jaye agar had se muhabat to muhabat zakhm deti hai

Mumkin jo agar hota, Hum tiumko bhula dete
Yaadon ko kafan de ke, Bewaqat sula dete
Tanhai main jee lete, Tumko na sada dete
Is dil se tere dil tak diwar utha dete
Mumkin jo agar hota hum tumko bhula dete

Jane q shikast ka azab liye phirta hun
Main kia hun or kia khwab liye phirta hun
Us ne aik bar kia tha sawal e muhabbat
Main har lamha wafa ka jawab liye phirta hun
Us ne poocha kab se nahi soye
Main tab se jagti raton ka hisab liye phirta hun
Us ki khwahish thi ke meri aankhon main pani dekhe
Main tab se barasti aakhain liye phirta hun
Teri chahat ka sila yaad nahi
Yaad hai hr juram, saza yaad nahi
Tor kr humsafri ka rishta
Wo kahan chor gaya, yaad nahi
Apne girne ka sabab yaad to hai
Kis bulandi se gira, yaad nahi
Yaad hai uska bicharna hum ko
Phir humain job hi mila yaad nahi.

lagta nahi k sath nibhaye ga dair tak
lekin wo mujhko bhool na payega dair tak
job hi qareeb aaye ga us ke
wo meri daastan sunaye ga dair tak
dhoonde ga wo mujhe inhi galyon mein ek din
dhoonde ga mujh ko na paye gad air tak
mein saahilon ki rait pe likhun ga us ka naam
wo paani pe mere naqsh banaye gad air tak
kis haal mein hun us k jane k baad
sun kr usey yaqeen na aaye ga dair tak
Madhosh ho jata tha mein sharab ki manind
Milta tha be libas us ke jazbat ki manind
Kabhi chuta tha zulfein kabhi lab choom leta tha
Mein sajata tha us ki rah ko baraat ki manind
Ab to muqadar mein hain yeh tanhaian yeh ruswaian
Dil rota hai us ki yaad mein is barsaat ki manind

Wo nam ki tarah hai roshni nahi rakhta
Badal hai wo be faiz jo paani nahi rakhta
Usey keh do apni yadein apne khwab-o-khayal bhi le jaye
Mein bhoolne walon ki nishanian nahi rakhta

Har baab mein mila karta tha swalon ki tarah koi
Mere dil mein raha karta tha khayalon ki tarah koi
Aaj sawan bhi ro dia sun kar meri dastan
Tareek shabon mein huwa karta tha ujalon ki tarah

Dilon me arzoo ke diye jalte rahenge
Ankhon se ansoo niklte rahenge
Tum shama ban k dil mein roshni to karo
Hum mom ban kr yunhi pighalte rahenge
Anaa hy tm me b thori bohat btana usay
Wo ab kahay b to mat hal_e_dil sunana usy
Akaily kis sy utha hy taluqat ka bojh Gul
Wo tmko yad na rakhy to bhul jana usy

Khushion se naraz hai meri zindagi,
Pyar ki mauhtaj hai meri zindagi,
Hans letay ha logo ko dikhaney k liye,
Varna dard ki kitaab hai meri zindagi.

Khwab khode to teri yad k khandr nikle
khud my dube to teri zat k andr nikle
hum to samjhe thy k honge koi do char ansu
rone bethe to yadon k samandr nikle..

Køi khwab in aankhø ne sajaya hi nhi,
Hmare dil ki gehrai kø koi smäjh päyä hi nhi.
Kisi ko mehsus ho KAMI hmari,
shayad Khuda ne hame aisa bnayä hi nhi. . .

Na meri koi manzil he na kinara,
Tanhai meri mehfil or yaadien mera sahara,
Us se bishar kr kuch yion wqt guzara,
kabhi zindagi ko tarsay kabhi mot ko pukara.

1 comment:

  1. if u need adsense acc ... contace us ... new and latest trick making adsense acc....my nmber
    03025866338

    ReplyDelete