Flag

Well Come

Marquee

Web Maker: Zulfiqar Ali Sandhila < > EMail. <>Zulfiqaralii@yahoo.com <>Mobile# <> 0322 6281852 <> Please Sign in and Join

Urdu Poetry

Teri Yaad Mein 
Teri yaad may aksar hum khud ko bhool jate hein
Koi merajo pochay aapka hi nam batate hein
Na jany kun tere dil se mera khuch aisa rishta hai
Wafa tu khuch nahi hum tum pe Jan-o-dil Lutate hein
Batana Chahtay Hein Tum ko Hal-eDil na Jane kun
Tumharay Samnay Tumko Batanay se Ghabrate hein
Hum jo toote to is tarah toote 
Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na gahaan toote
jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
hum jo toote to raayegaan toote
Shart-E-Wafa 
Is Zamane Sey Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gein
Dil Lagayein Gein To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gein

Na Dikhayain Gein Kabhi Dil Pe Lage Zakhem Unhain
Dard Uthey Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gein

Jaan De Daingein Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usey Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain Gein

Sab Hata Daingain Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazey Ko Har Waqt Khula Rakhain Gein

Unki Har Baat Ko Bhooley Se Na Bhoolain Gein Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gein

Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki MeMoN
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gein 

Bin Tere Ab Koi Chahat Nahi 
Bin Tere Ab Koi Chahat Nahi,
Zindagi Ki Bhi Koi Khwahish Nahi,
Tum Nahi The To Zindagi Main Kuch Kami Thi,
Ab Hoker Bhi Tum Mere Nahi,
Sab Kuch Paas Hai Magar,
Bin Tere Ab Koi Chahat Nahi,
Zindagi Ki Bhi Koi Khwahish Nahi
Tum Nahi Thay To Zindagi Main Kuch Kami Thi
Ab Hoker Bhi Tum Mere Nahi
Sab Kuch Paas Hai Magar
Ek Tu Hi To Mere Paas Nahi
Hazaron Ne Hamain Chaha Lekin
Ek Tujh Hi Ko Hamari Chahat Nahi
Hum Tere Begair Bhi Jeene Ki Koshish Karenge
Kyun Ki Ab Hamain Kisi Aur Ki Zaroorat Nahi
Ek baar Tumko ko Yun hi bhula kar Dekhenge 
Ek baar tumko ko yun hi bhula kar dekhenge
Mushqil hoga jeena, par azma kar dekhenge
Zuda hokar mar jayenge yeh durr hai phir bhi
Ek baar khudko tujhse zuda kar dekhenge
Tere bin padega bhatakna toh yehi sahi
Hum tumse alag apna rasta kar dekhenge
Usko khuda banaya toh kuch haasil nahi hua
Kya bigadta hai, ub usse buut bana kar dekhenge
Tere bahon mein ek raat ko sadiyon taras gaye
Ub jo mili hai yeh raat, toh usse gawa kar dekhenge
Iss uthty hue toofan mein kuch bhi na bache shayad
Phir bhi Kachhee meeti ka hum ghar banakar dekhenge
Hur baar tere dar pe sir jhukar ibadat ki hai
Ub tumse bagawat mein sir utha kar dekhenege
Gum ki yeh andhi hai, chiragon ko nahi jalne degi
Hum phir bhi ek umeed ka Deepak jala kar dekhenge
Mera Lafz Lafz dua dua!! 
Mera Lafz Lafz Dua Dua!!
mere ansowoon sy dhula hoa!!!
de raha hy tujhy ek dua!!!
k!~!!
tujhy zindgi mei wo sehr mile!!!
tujhy aainoon ka seehar mile!!
tujhy dard o ghum na kabhi choo sakein!!
ye dua hy koi gila nahi!!
tujhy zindgi mei wo sakoon mile!!
jo mjhy kabhi mila nahi!
Raaz-e-ulfat chhupaa ke dekh liyaa

Raaz-e-ulfat chhupaa ke dekh liyaa
dil bahot kuchh jalaa ke dekh liyaa
aur kyaa dekhane ko baaqii hai
aap se dil laga ke dekh liyaa
wo mere hoke bhii mere na hue
unako apanaa banaa ke dekh liyaa
aaj unakii nazar me.n kuchh hamane
sabakii nazare.n bachaa ke dekh liyaa
'faiz', taqmiil-e-gam bhii ho na sakii
ishq ko aazamaa ke dekh liyaa

Mujh ko mujh se juda kiya tu ne 
Mujh ko mujh se juda kiya tu ne.....
Mera ban k ye kiya kiya tu ne........
Mere ansoo bi mujh se cheen liye tu ne...
Es qadar gham ata kiya tu ne................
Ab talab ki talab nahi mujh mein......
Naqsh-e-fani fana kiya tu ne..........
Chand lamho mein raat khatm hoi....
Subh e Khindaan ye kya kia tu ne...
Teri chahat mein door ja nikla.......
Ma-siwa ma-wara kiya tu ne........
Aj WASIF ne keh diya osko..........
Ba-khuda Baa Khuda kiya tu ne.... 
Mera Aansoo 
Chand TANHA hai aasman TANHA..
Dil mila hai kahan kahan TANHA..
Bujh gae aasman chup gaya taara...
Thartharata raha dhuwan TANHA...
Zindage kiya issi ko kehte hain...?
Jism TANHA hai aur jaan TANHA..
Hamsafar koi ager mile bhi kahin...
Donon chalte rahe TANHA TANHA...
Jalti bujhti roshni ke pare..
Simta simta sa ik makan TANHA..
Raah dekha kare ga sadiyon tak...
Chor jaen ge yeh jahan TANHA...!

Tum bhi khafa ho 
Tum bhi khafa ho loog bhi burhum he
teri bataain hi sunanay aa'e
dost bhi dil hi dokhanay aa'e
phool khilte hein tu hum sochtae hein
teray aanay ke zamaanay aa'e
aisi kuch chup si lagi hai jaise
hum tujhe haal sunanay aa'e
ishq tunha hai sir-e munzil-e ghum
kaun yeh boojH uthanay aa'e
ajnabi dost humein dekh keh hum
kuch tujhe yaad dilaanay aa'e
dil dharakta hai safr ke hungaam
kaash phir koi bulanay aa'e
ab tu rounay se bhi dil dukhta hai
shaid ab hosh thikanay aa'e
kya kahein phir koi busti ujri
laug kyooN jashun mananay aa'e
so raho maut ke pahloo mein Faraz
nind kis waqt na janay aa'e
Jin Rahon Pe Ek Umar Tere Sath Raha Hoon
Jin Rahon Pe Ek Umar Tere Sath Raha Hoon !!
Kuch Roz Se Wo Raste Sunsan Bohut Hain !!
Mil Jao Kabhi Tot Ke Phir Aon Na Shayed !!
Kamzor Hoon Mein Or Raha Mein Toofan Bohut Hain !!
Ek Tum Hi Tu Nahi Meri Judai Mein Pareshan !!
Hum Bhi Tu Teri Chah Mein Veeran Bohut Hain !!
Ek Tark_e_Wafa Pe Tumhain Kaise Bhula Doon Mein !!
Mujh Par Teri Mohabbat Ke Ehsaan Bohut Hain !!
Bhar Aein Na Ankhain TumHari Tu Ek Baat Bataon !!
Ab Tujh se Bichar Jane Ke Imkaan Bohut Hain !! 

Mohabbat karna koi Gunaah to Nahi
Mohabbat Karna koi Gunaah to Nahi
dil ke jazbaat unse Beparwaah to Nahi
Tanhaayi ke saaye me Rahta hun yun to main
Us shakhs se tasavvur mera itna tanha to nahi
Kyun log ishq ko itna Galat samajhte hain
Maine to mehbub se bhi kuchh manga to nahi
Mohabbat Karna Koi Gunaah to nahi......
Mohabbat Jeet Hoti Hai!

Mohabbat Jeet Hoti Hai!
Magar Ye Har Jati Hai!
Kabhi Dil Soz Lamhun Se
Kabhi Bekar Rasmoon Se
Kabhi Taqdeer Walun Se
Kabhi Majboor Kasmoon Se
Mohabbat Jeet Hoti Hai
Magar Ye Har Jati Hai
Kabhi Ye Phool Jaisi Hai
Kabhi Ye Dhool Jaisi Hai
Kabhi Ye Chand Jaisi Hai
Kabhi Ye Dhoop Jaisi Hai
Kabhi Masroor Karti Hai
Kabhi Ye Rog Daiti Hai
Kabhi Le Par Jati Hai
Kabhi Ye Mar Jati Hai
Mohabbat Jeet Hoti Hai!
Magar Ye Har Jati!
Itni muddat baad mile ho

Itni muddat baad mile ho!
Kin sochon main gum phirte ho?
Itne khayef kyon rehte ho?
Her aahat se darr jaate ho
Taiz hawa ne mujh se poocha
Rait pe kya likhte rehte ho?
Kaash koi humse bhi pooche
Raat gaye tuk kyon jaage ho?
Main darya se bhi darta hoon
Tum darya se bhi gehre ho!
Koun si baat hai tum main aisi
Itne ache kyon lagte ho?
Peeche mur ker kyon dekha tha
Patthar ban ker kya takte ho?
Jaao jeet ka jashan manaao!
Main jhoota hoon, tum suche ho
Apne sheher ke sub logon se
Meri khatir kyon uljhe ho?
kehne ko rehte ho dil main!
Phir bhi kitne door khare ho
Raat humain kuch yaad nahin tha
Raat bohot hi yaad aaye ho
Humse na poocho hijr ke qisse
Apni kaho ab tum kaise ho?
Mohsin tum badnaam bohot ho
Jaise ho, phir bhi ache ho
Ghulab jesa he...
Her ek zakhm ka chehra gulaab jaisa hai
Magar yeh jagta manzar bhi khuwab jaisa hai
Yeh talkh talkh sa lehja, yeh tez tez si baat
Mizaaj-e-yaar ka aalam sharaab jaisa hai
Mera sukhn bhi chaman der chaman shafaq ki phawar
Tera badan bhi mehekte gulaab jaisa hai
Bara taveel, nihayat hasee?n, bohot mabhum
Mera sawal tumhare jawaab jaisa hai
Tu zindagi ke haqayeq ki teh main yoon na uter
Ke is nadi ka bahao chanaab jaisa hai
Teri nazar hi nahin harf aashnaa werna
Her ek chehra yahan per kitaab jaisa hai
Chamak uthe to samandar, bujhe to rait ki leher
Mere khayal ka darya saraab jaisa hai
Tere qareeb bhi reh ker na pa sakoo?n tujh ko
Tere khayal ka jalwa habaab jaisa hai
Tere ishq kii intahaa chaahataa hu
Tere ishq kii intahaa chaahataa huu.N
merii saadagii dekh kyaa chaahataa huu.N
sitam ho ki ho vaadaa-e-be-hijaabii
koii baat sabr-aazamaa chaahataa huu.N ]
ye jannat mubaarak rahe zaahido.n ko
ki mai.n aap kaa saamnaa chaahataa huu.N
koii dum kaa mehmaa.N huu.N ai ahal-e-mahafil
chiraaG-e-sahar huu.N, bujhaa chaahataa huu.N
bharii bazm me.n raaz kii baat kah dii
barraa be-adab huu.N, sazaa chaahataa hu
Suno Aye Dost 
Suno aye Dost!
Kabhi Udaas hojao toh
Kabhi tanhayi ki raatain
Tumhain ziada sataein toh
Kabhi titli na bole toh
Aur jugnoo lout jaye toh
Kabhi jab dil bhi bhar jaye
Koi jab sunn na paye to
Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se rooth jaayein toh
Kabhi jab khud se lar lar kar
Thakan se choor ho jao
Kabhi chahte huye bhi khud akele
Ro na paao toh
Apni aankhon ko band karna
Mujhe aawaz de dena
Aur phir mere tasawwur se
Jo chaho batein keh dena
Meray kaandhe pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena
Phir khud main jab loat jao toh
Us he duniya chale jana
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon main
Hamein dil se pukaro gay …….Hamein tum saath pao gay
Bicharr ke mujh se

Bicharr ke mujh se tum bhi jee na paoge
Sach kehta hoon mere bin bohat pachtaoge
Bardasht ka paimaana hai mera bhi bohat wasi
Bolo kitna rulaoge bolo kitna sataoge
Yaadein meri satayengi baatein meri rulayengi
Meri nigahon se tum khud ko kahan tak chhupaoge
Saaya bhi hua karta hai kya kabhi Insaan se judda
Tum jahan bhi jaoge saath mujh ko paoge
Kardega mera khaloos yeh haalat tumhari
Raaz e Dil zaban tak laoge aur keh na paoge
Mohaabt k saaye. 

Dukh ke jitne chehrey hain
Sarey meray apney hain

Qatra qatra darya mai
Kis ke aansoo behtay hain

Aansoo tab tak aansoo hain
Jab tak behtay rehtay hain

Patta patta dharti par
Dil ke tukrey bikhray hain

Deewaroon par uljhey se
Mohobat ke woo saaye hain 

Zindagi 
Main ne socha hay Ager
Tu na ho saki meri Tou,
Tu samjhay gi,
K mujh se chin ga-e zindagi meri,
Main ne khoya hay zindagi ko,
Phir socha hay zindagi ko,
Phir paya hay zindagi k tere baghair bhi,
Terey baghair bhi zinadgi guzray gi Kyun k,
Mai ne dekha hay,
Meray jaisay aur bhi hain,
Main ne dekha hay,
Ishq ka Ghum lay ker,
Main Akaila nahi,
Aur bhi jeety hain.
Ghum
Ghum Ki Barish Ne Bhee Teray Naqsh Ko Dhoya Nahin
Tu Nay Mujh Ko Khoo Diya, Mainay Tujhay Khoya Nahin
Neend Ka Halka Gulabi Saa Khumaar Ankhon Main Tha
Yuun Laga Jaisay Woh Shab Ko Deir Tak Sooya Nahin
Har Taraf Dewar O Dar Or Inn Main Aankhon Ke Hajoom
Keh Sakay Jo Dil Ki Halat Woh Lab-e Goyaa Nahin
Jurm Adam Ney Kiya Or Nasl-e-Adam Ko Sazaa
Kaatt Ta Hoon Zindagi Bhar Jo Mainay Boyaa Nahin
Jaanta Hoon Ik Aisay Shakhs Ko Main Bhee
Ghum Se Pathar Ho Gaya Lekin Kabhi Rooya Nahin
Dil ki Takleef kam Nahin Karte
Dil Ki Takleef Kam Nahin Kerte
ab koi shikwa hum nahin kerte
dosri haar ki hawas hai so hum
sar e tasleem kham nahin kerte
woh bhi nahin perhta ab dil se
hum bhi naalay ko nam nahin kerte
tujh to ab teri hi khatie jana
yaad hum koi dam nahin kerte
hum jurm mein kammi karein bhi to kion
tum sazza bhi to kam nahin kerte
Saans Lenna Bhi Kaisi Aadat Hain 
Saans Lenaa Bhi Kaisi Aadat Hai
jiiye jaanaa bhi kyaa ravaayat hai
koi aahaT nahin badan mainn kahin
koi saayaa nahin hai aakhoon main
paanv behis hain, chalate jaate hain
ik safar hai jo bahataa rahataa hai
kitane barasoon se, kitani sadiyoon se
jiye jaate hain, jiye jaate hain


aadatain bhi ajeeb hoti hain 

0 comments:

Post a Comment